07 April 2012

Must listen bayanat of islahi ijtema In Hakim Akhter sb(d.b)'s Khanqah

Assalamu alaikum
Please Visit this link for very important and must listen bayanat of  islahi ijtema In Hakim Akhter sb(d.b)'s Khanqah.
http://www.attablig.com/islahi-ijtema

1 comment:

  1. Assalamualaikum
    Umeed hai sab log khairiyat se honge...
    Mufti sahab mere kuch mandarjazil sawalaat hai umeed hai Aap un ke tasalli bakhsh jawaabaat denge.
    1) Aap sallallahualaihiwasallam k Walidein k baare main ne 2 cheeze suni hai
    a} unhone qabar se zinda hokar Aap sallallahualaihiwasallam k hatho par imaan layaa.
    b}Aap sallallahualaihiwasallam un kliye magfirat ki Duaa karte rahe magar Allah tabaarak wa taalaa ne Qabul nahi farmaya.
    in mein se konsi baat durust hai? Aap hawaale k saath iss ka jawaab bheje.Aur hamaaraa Aquida iss taaluq se kaisaa honaa chaahiye??

    2)Mujhe mazaaque ki , zyaadaa baate karne ki, zyaadaa hansne ki Aadat pataa nahi kaise lagi hai main kaise inn cheezo ko control karu??
    jab main hadees suntaa hu iss taaluq se k zyaadaa hansne se dil murdaa hotaa hai...............etc oos ka asar utna hi hota hai. magar jab main dosto k saath baithtaa hu to control nahi kar paataa. please Aap mujhe kuch wird wagairah bataye Aur muraaqabah karne kaa tariqaa bhi bataye.

    3) mufti-e-Aazam hazrat maulana shafi sahab rehmatullahi alaih ki aik kitaab main padhaa thaa k sirri namazo main [farz] imaam k peeche sanaa padhne k baad dil main sureh fatiha padh sakte hain. kyaa main iss par amaal karu??
    isi tareh jehri [farz] namazo ki Aakhir ki jo do rakaate hain kyaa oos main sureh fatihaa padhu??
    please iss silsile main mukammal rehnumaayi farmaaye.

    4) Ruho k mutalliq sawaaal tha ..........
    Kyaa kuffar ki ruhe, yaa phir Accident se mare hue log, yaa phir kisi kaa naahaq kiyaa hua qatal ye sab duniyaa main bhatakte hai yaa phir ye sab khabis shaitaano ki kaarastaani hai iss kaa jawaab tafseel k saath ataa farmayiye . kyunke aisi harkate hamaare yahaa par ho rahi hai k Aurat yaa mard k jism main bole rooh Aa gayi hai............etc
    JAZAAKALLAH..............
    please please give me answer of my question.

    ReplyDelete